Ya Ali Kehne Ke Baad
Recited by Mir Hasan Mir · ·views·recited·Available offline
اردو
یا علیؑ کہنے کے بعد
مِل گئی تُجھ کو خُدائی یا علیؑ کہنے کے بعد
ہاں یہی ہوتا ہے بھائی یا علیؑ کہنے کے بعد
جامِ کوثر لے لیا فردوس میں گھر لے لیا
اِس قدر دولت کمائی یا علیؑ کہنے کے بعد
حاجیوں کو غازیوں کو خُم میں صہبائے وِلا
خود محمدؐ نے پلائی یا علیؑ کہنے کے بعد
میں نے پوچھا کامیابی کی سند مِلتی ہے کب
عرش سے آواز آئی یا علیؑ کہنے کے بعد
میں یہاں زندہ رہا تو کیا ہوئی حیرت کی بات
کب کسی کو موت آئی یا علیؑ کہنے کے بعد
اے مُسلماں آ گلے مِل تو بھی مومن ہو گیا
کیسا جھگڑا کیا لڑائی یا علیؑ کہنے کے بعد
موت سے اِک روز پنجہ آزمائی ہو گئی
توڑ دی میں نے کلائی یا علیؑ کہنے کے بعد
قلبِ ابوذرؓ کی طرح حُرؑ کے مُقدر کی طرح
روشنی گوؔہر نے پائی یا علیؑ کہنے کے بعد
شاعر: گوہر جارچوی
Roman Urdu
Ya Aliؑ Kehne Ke Baad
Mil gayi tujh ko khudai ya Aliؑ kehne ke baad
Haan yehi hota hai bhai ya Aliؑ kehne ke baad
Jaam-e-kausar le liya firdaus mein ghar le liya
Is qadar daulat kamai ya Aliؑ kehne ke baad
Haajiyon ko ghaaziyon ko khum mein sehbaa-e-wila
Khud Muhammadؐ ne pilai ya Aliؑ kehne ke baad
Main ne poocha kaamyabi ki sanad milti hai kab
Arsh se aawaaz aayi ya Aliؑ kehne ke baad
Main yahaan zinda raha to kya hui hairat ki baat
Kab kisi ko maut aayi ya Aliؑ kehne ke baad
Aye Musalmaan aa gale mil tu bhi momin ho gaya
Kaisa jhagra kya larai ya Aliؑ kehne ke baad
Maut se ik roz panja aazmai ho gayi
Tor di main ne kalai ya Aliؑ kehne ke baad
Qalb-e-Abuzarؓ ki tarah Hurؑ ke muqaddar ki tarah
Roshni Gohar ne paai ya Aliؑ kehne ke baad
Shayar: Gohar Jarchavi
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
خون ہم بہاتے ہیں جشن ہم مناتے ہیں
Khoon Hum Bahatey Hain Jashn Hum Manate Hain
Khoon Hum Bahatey Hain Jashn Hum Manate Hain
Mir Hasan Mir ·
ManqabatMimber Ghadeer-e-Khum Ka – Mir Hasan Mir 2010
Mir Hasan Mir ·
ManqabatJo Log Mae Ishq Se – Mir Hasan Mir 2003
Mir Hasan Mir ·
ManqabatSaaqi-e-Kausar Ki Sana – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
