Noha

Ye Ghurbat e Ali Hai

Recited by Mir Hasan Mir ·

Watch onYouTube

اردو

یہ غربتِ علیؑ ہے

یہ غربتِ علیؑ ہے یہ غربتِ علیؑ ہے
حق مانگنے جو زہراؑ دربار میں گئی ہے

آواز آ رہی ہے میں بنتِ مصطفیٰؐ ہوں
باباؐ کے کلمہ گویوں میں ہی تو فاطمہؑ ہوں
پہچاننے سے دُنیا اِنکار کر رہی ہے

سُن کر سلامِ حیدرؑ کوئی نہیں ہے رُکتا
واجب نہیں سمجھتا کوئی جواب دینا
افسوس فاطمہؑ بھی یہ بات جانتی ہے

مسجد میں سَر جھکائے مولاؑ کھڑے ہوئے ہیں
حاکم کی تہمتوں کو چُپ چاپ سُن رہے ہیں
صدیقہؑ سب کے آگے جھٹلائی جا رہی ہے

کہتی ہیں رو کے زہراؑ جانے نہ دوں گی تنہا
پٹکے میں مرتضیٰؑ کے ہے ہاتھ سیدہؑ کا
اب ہے کسی کا دُرّہ اور دُخترِ نبیؐ ہے

اِک کوچے میں پہنچ کر دیکھا ہے مجتبیٰؑ نے
ظالم نے ضرب ماری کیسے خُدا ہی جانے
بنتِ نبیؐ زمیں پر غش کھا کے گِر پڑی ہے

مظلومِ کربلا کو یاد آ گئی سکینہؑ
بیٹی پہ مصطفیٰؐ کی قُنفُذ کا ہاتھ اُٹھا
پہلو میں مرتضیٰؑ کی تلوار رو پڑی ہے

پہلو بھی ہے شکستہ ہاتھوں پہ بھی ہیں چھالے
ہے آپ کی امانت اب آپ کے حوالے
یہ کہہ کے مرتضیٰؑ نے میّت نبیؐ کو دی ہے

کافی ہے بس یہ فقرہ رونے کو زندگی بھر
ہاتھوں کو اپنے اکثر کہتے تھے مل کے حیدرؑ
خیبر شکن کی زوجہ گھٹ گھٹ کے مر گئی ہے

کیسے لکھے تکلّمؔ غربت علیؑ ولی کی
زوجہ صحابیوں کے دربار میں گئی تھی
بیٹی شرابیوں کے دربار میں گئی ہے

شاعر: میر تکلم میر

Roman Urdu

Yeh Ghurbat-e-Aliؑ Hai

Yeh ghurbat-e-Aliؑ hai yeh ghurbat-e-Aliؑ hai
Haq maangne jo Zehraؑ darbaar mein gayi hai

Aawaaz aa rahi hai main bint-e-Mustafaؐ hoon
Babaؐ ke kalma goyon mein hi to Fatimaؑ hoon
Pehchaanne se duniya inkaar kar rahi hai

Sun kar salaam-e-Haiderؑ koi nahi hai rukta
Waajib nahi samajhta koi jawaab dena
Afsos Fatimaؑ bhi yeh baat jaanti hai

Masjid mein sar jhukaaye Maulaؑ khade huwe hain
Haakim ki tohmaton ko chup chaap sun rahe hain
Siddiqaؑ sab ke aage jhutlaai ja rahi hai

Kehti hain ro ke Zehraؑ jaane na doon gi tanha
Patke mein Murtazaؑ ke hai haath Syedaؑ ka
Ab hai kisi ka durrah aur dukhtar-e-Nabiؐ hai

Ik kooche mein pohanch kar dekha hai Mujtabaؑ ne
Zaalim ne zarb maari kaise Khuda hi jaane
Bint-e-Nabiؐ zameen par ghash kha ke gir padi hai

Mazloom-e-Karbala ko yaad aa gayi Sakinaؑ
Beti pe Mustafaؐ ki Qunfuz ka haath utha
Pehlu mein Murtazaؑ ki talwaar ro padi hai

Pehlu bhi hai shikasta haathon pe bhi hain chhaale
Hai aap ki amaanat ab aap ke hawaale
Yeh keh ke Murtazaؑ ne mayyat Nabiؐ ko di hai

Kaafi hai bas yeh fiqra rone ko zindagi bhar
Haathon ko apne aksar kehte thay mil ke Haiderؑ
Khyber shikan ki zauja ghut ghut ke mar gayi hai

Kaise likhe Takallum ghurbat Aliؑ wali ki
Zauja sahaabiyon ke darbaar mein gayi thi
Beti sharaabiyon ke darbaar mein gayi hai

Shayar: Mir Takallum Mir

Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction

Related Kalaam